Saye Me Na Baithungi Aye Mere Ali Asghar est une chanson en langue indéterminée
Aye mere ali asghar
Saaye me na baithungi aye mere ali asghar
Ab kaise jiye maadar aye mere ali asghar
Haye maadar e mazlooma
Kahthi thi yahi rokar
Saye me na baithungi aye mere ali asghar
Aey noore nazar mujhko ab chain nahi milta
Umeed ke gulshan ka ek phool nahi khilta
Ay laal har ek lamha ab sakht hua mujhpar
Saye me na baithungi aye mere ali asghar
Mai jagti rahti thi aur tujhko sulati thi
Mai teri jawani ke armaan sajati thi
Afsos sitaamgar ne khaya na taras tujhpar
Saye me na baithungi aye mere ali asghar
Aankhon me tera chehra rahta hai mere bachhe
Kya baat hui beta kyon ruthh gaya maa se
Suni hai meri godi ay tashna dahan asghar
Saye me na baithungi aye mere ali asghar
Mai sochti rahti thi kya kah ke bulayega
Jab bolna sikhega maa kah ke bulayega
De mujhko sada beta ek baar toh maa kah kar
Saye me na baithungi aye mere ali asghar
Saaya bhi nhi koi aur tapta hua sehra
Chhe maah ka sindhi hai nazook hai badan tera
Aa so ja mere bachhe aakar mere sine par
Saye me na baithungi aye mere ali asghar
Jab dekhti hun pani dikhta hai tera chehra
Jo mujhpar guzarti hai mai kaise kahu beta
Hai zakhm bahot beta is maa ke kaleje par
Saye me na baithungi aye mere ali asghar
Jhula to nahi baaki par lori sunati hun
Mai nind ke aalam me haatho ko hilati hun
Ujdi hui mujh jaisi hogi na koi maadar
Saye me na baithungi aye mere ali asghar
Kyun baap ke haatho pe palta tha mera baccha
Sun sakte ho ay shiyo kyu kya tha sabab iska
Tha teer bada lekin chota tha mera asghar
Saye me na baithungi aye mere ali asghar
Papdaye huye wo lab masoom gala uska
Kya guzregi is maa par zaalim ne nahi socha
Jo dekha hai haal maine dekhe na koi maadar
Saye me na baithungi aye mere ali asghar
Bas bas aye sharar naqvi mar jane ko hai kaafi
Che maah ka wo asghar do baar hua zakhmi
Haaye teer chala pehle aur baad me phir khanjar
Saye me na baithungi aye mere ali asghar